ek husn ki zinat ke liye sham-o-sahar do
ik husn kī zīnat ke liye shām-o-sahar do
ā.īne tumhāre haiñ ye ḳhurshīd-o-qamar do
vo dil meñ samā.e mirī āñkhoñ meñ utar kar
ghar ek azal se hai magar rāhguzar do
manzil hai mirī ka.aba-o-but-ḳhāna se aage
haiñ naqsh-e-qadam ye bhī sar-e-rāhguzar do
haiñ yuuñ to bahut husn-o-mohabbat ke alāva
hangāma-e-taḳhlīq meñ naġhme haiñ magar do
aapas meñ na Than jaa.e 'salām' un kī jhalak se
maqsūd-e-nazar ek hai aur dīda-e-tar do
ek husn ki zinat ke liye sham-o-sahar do
aaine tumhaare hain ye KHurshid-o-qamar do
wo dil mein samae meri aankhon mein utar kar
ghar ek azal se hai magar rahguzar do
manzil hai meri kaba-o-but-KHana se aage
hain naqsh-e-qadam ye bhi sar-e-rahguzar do
hain yun to bahut husn-o-mohabbat ke alawa
hangama-e-taKHliq mein naghme hain magar do
aapas mein na Than jae 'salam' un ki jhalak se
maqsud-e-nazar ek hai aur dida-e-tar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.