ek ik kar ke polen sari kholunga
ik ik kar ke poleñ saarī kholūñgā
lekin itnī jaldī thoḌī kholūñgā
is ḳhushbū se bas us ko mahkānā hai
maiñ mauqa aane par shīshī kholūñgā
mil jā.egā chehra mere matlab kā
tab jā kar āñkhoñ kī paTTī kholūñgā
tum ne vaqt liyā thā sikka chunñe meñ
so maiñ bhī ab der se muTThī kholūñgā
yuuñ na lage maiñ us kī raah meñ baiThā thā
is baarī ārām se kunDī kholūñgā
class meñ baiThe ghanToñ dekhūñgā us ko
teacher Tokegī tab copy kholūñgā
socho mat bas bāñdho mere hāthoñ ko
phir maiñ jānūñ kaise rassī kholūñgā
ek ek kar ke polen sari kholunga
lekin itni jaldi thoDi kholunga
is KHushbu se bas us ko mahkana hai
main mauqa aane par shishi kholunga
mil jaega chehra mere matlab ka
tab ja kar aankhon ki paTTi kholunga
tum ne waqt liya tha sikka chunne mein
so main bhi ab der se muTThi kholunga
yun na lage main us ki rah mein baiTha tha
is bari aaram se kunDi kholunga
class mein baiThe ghanTon dekhunga us ko
teacher Tokegi tab copy kholunga
socho mat bas bandho mere hathon ko
phir main jaanun kaise rassi kholunga
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.