ek inqalab ki yaksar tha uske jate hi
ik inqalāb ki yaksar thā us ke jaate hī
ki dil lahū nahīñ patthar thā us ke jaate hī
vo umr bhar mujhe jis se rihā.ī de na sakā
maiñ us hisār ke bāhar thā us ke jaate hī
usī ke dam se thā qaa.em nizām-e-mai-ḳhāna
kahīñ subū kahīñ sāġhar thā us ke jaate hī
mujhe to pahle hī ashkoñ ne rāsta na diyā
ġhubār-e-rāh bhī sar par thā us ke jaate hī
tamām shahr ik tasvīr ban gayā thā 'shahāb'
ajiib diid kā manzar thā us ke jaate hī
ek inqalab ki yaksar tha us ke jate hi
ki dil lahu nahin patthar tha us ke jate hi
wo umr bhar mujhe jis se rihai de na saka
main us hisar ke bahar tha us ke jate hi
usi ke dam se tha qaem nizam-e-mai-KHana
kahin subu kahin saghar tha us ke jate hi
mujhe to pahle hi ashkon ne rasta na diya
ghubar-e-rah bhi sar par tha us ke jate hi
tamam shahr ek taswir ban gaya tha 'shahab'
ajib did ka manzar tha us ke jate hi
- Book : safar aamada (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.