ek intizar sa tha ab nazar mein wo bhi nahin
ik intizār sā thā ab nazar meñ vo bhī nahīñ
safar meñ marne kī fursat thī ghar meñ vo bhī nahīñ
zarā malāl kī zulmat ko Tālne ke liye
ka.ī ḳhayāl the ab to asar meñ vo bhī nahīñ
jo sang-o-ḳhār the merī hī gardishoñ tak the
maiñ rahguzar meñ nahīñ rahguzar meñ vo bhī nahīñ
the chashm-e-bām-nagar meñ ajab tulūa ke rang
vo ik nashāt-e-sahar thā sahar meñ vo bhī nahīñ
kahāñ kī lazzat-e-bālīdgī-e-shāḳh-o-samar
jo zā.iqa thā havā-e-shajar meñ vo bhī nahīñ
rahe na kuchh bhī magar ab ye kaif kyā kam hai
jis āgahī kī kamī thī hunar meñ vo bhī nahīñ
ek intizar sa tha ab nazar mein wo bhi nahin
safar mein marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahin
zara malal ki zulmat ko Talne ke liye
kai KHayal the ab to asar mein wo bhi nahin
jo sang-o-KHar the meri hi gardishon tak the
main rahguzar mein nahin rahguzar mein wo bhi nahin
the chashm-e-baam-nagar mein ajab tulua ke rang
wo ek nashat-e-sahar tha sahar mein wo bhi nahin
kahan ki lazzat-e-baalidgi-e-shaKH-o-samar
jo zaiqa tha hawa-e-shajar mein wo bhi nahin
rahe na kuchh bhi magar ab ye kaif kya kam hai
jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.