ek ishq karo zaKHm-e-jigar aate hain kitne
ik ishq karo zaḳhm-e-jigar aate haiñ kitne
ik peḌ lagāo to samar aate haiñ kitne
dil jiit hī legā vo mirī kuchh na chalegī
shātir hai balā kā use ghar aate haiñ kitne
kyā haal hai ab dard-e-judā.ī kā batāo
ik ik ke akele meñ nazar aate haiñ kitne
kahnā tumheñ aate haiñ fasāne bhī ġhazal bhī
duniyā meñ panapne ke hunar aate haiñ kitne
muñh se vo kisī baat kī dāvat nahīñ detā
paiġhām ba-andāz-e-digar aate haiñ kitne
lākhoñ haiñ shajar yuuñ to magar dekhnā hogā
darpesh safar ho to shajar aate haiñ kitne
ash.ār-e-ġhazal 'mīr' ke lahje meñ na likkho
sunñe ko tumheñ ḳhasta-jigar aate haiñ kitne
har shaḳhs kī qismat meñ to manzil nahīñ hotī
hamrāh liye zād-e-safar aate haiñ kitne
rahzan safar-e-umr meñ ik aatā hai lekin
is chhoTī sī fursat meñ ḳhizar aate haiñ kitne
har baar 'shahāb' un se mulāqāt se pahle
asbāb bichhaḌne ke nazar aate haiñ kitne
ek ishq karo zaKHm-e-jigar aate hain kitne
ek peD lagao to samar aate hain kitne
dil jit hi lega wo meri kuchh na chalegi
shatir hai bala ka use ghar aate hain kitne
kya haal hai ab dard-e-judai ka batao
ek ek ke akele mein nazar aate hain kitne
kahna tumhein aate hain fasane bhi ghazal bhi
duniya mein panapne ke hunar aate hain kitne
munh se wo kisi baat ki dawat nahin deta
paigham ba-andaz-e-digar aate hain kitne
lakhon hain shajar yun to magar dekhna hoga
darpesh safar ho to shajar aate hain kitne
ashaar-e-ghazal 'mir' ke lahje mein na likkho
sunne ko tumhein KHasta-jigar aate hain kitne
har shaKHs ki qismat mein to manzil nahin hoti
hamrah liye zad-e-safar aate hain kitne
rahzan safar-e-umr mein ek aata hai lekin
is chhoTi si fursat mein KHizar aate hain kitne
har bar 'shahab' un se mulaqat se pahle
asbab bichhaDne ke nazar aate hain kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.