ek iztirab sa sine mein har ghaDi hai mujhe
ik iztirāb sā siine meñ har ghaḌī hai mujhe
Thahr ai zindagī ik baat pūchhnī hai mujhe
idhar se jab bhī guzarnā ho to pukārā kar
añdhere meñ tirī āvāz raushnī hai mujhe
ajiib tarah kī tanhā.ī hai mire ghar meñ
har ek chiiz udāsī se dekhtī hai mujhe
maiñ ab to kashtī-e-jāñ meñ savār ho chukā huuñ
so dekhiye kahāñ le jā ke chhoḌtī hai mujhe
mujhe batā jo kabhī lauTtā ho guzrā vaqt
ki phir se tujh meñ vahī baat dekhnī hai mujhe
maiñ us se tark-e-ta.alluq to kar bhī luuñ lekin
na jaane kaun sī ummīd roktī hai mujhe
maiñ apne TūTte ghar kī huuñ āḳhirī ummīd
so ishq bhar nahīñ har baat sochnī hai mujhe
ek iztirab sa sine mein har ghaDi hai mujhe
Thahr ai zindagi ek baat puchhni hai mujhe
idhar se jab bhi guzarna ho to pukara kar
andhere mein teri aawaz raushni hai mujhe
ajib tarah ki tanhai hai mere ghar mein
har ek chiz udasi se dekhti hai mujhe
main ab to kashti-e-jaan mein sawar ho chuka hun
so dekhiye kahan le ja ke chhoDti hai mujhe
mujhe bata jo kabhi lauTta ho guzra waqt
ki phir se tujh mein wahi baat dekhni hai mujhe
main us se tark-e-talluq to kar bhi lun lekin
na jaane kaun si ummid rokti hai mujhe
main apne TuTte ghar ki hun aaKHiri ummid
so ishq bhar nahin har baat sochni hai mujhe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 38)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.