ek jam-e-ishq ne mujhe diwana kar diya
ik jām-e-ishq ne mujhe dīvāna kar diyā
ka.aba bhī mere vāste but-ḳhānā kar diyā
raushan huī hai jab se mire dil meñ sham-e-tūr
jān-e-hazīñ ko soz ne parvāna kar diyā
jaatī rahī ḳhabar vo milī be-ḳhudī mujhe
lo apne aap se mujhe begāna kar diyā
vo imtiyāz mujh ko milā jalva-gāh se
jis ne mirī gadā.ī ko shāhāna kar diyā
aql-o-ḳhirad se vāsta 'zīnat' ko kuchh nahīñ
Thokar ne ek hī use farzāna kar diyā
ek jam-e-ishq ne mujhe diwana kar diya
kaba bhi mere waste but-KHana kar diya
raushan hui hai jab se mere dil mein sham-e-tur
jaan-e-hazin ko soz ne parwana kar diya
jati rahi KHabar wo mili be-KHudi mujhe
lo apne aap se mujhe begana kar diya
wo imtiyaz mujh ko mila jalwa-gah se
jis ne meri gadai ko shahana kar diya
aql-o-KHirad se wasta 'zinat' ko kuchh nahin
Thokar ne ek hi use farzana kar diya
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 389)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.