ek jalwa-e-mahtab hai tashhir mein shayad
ik jalva-e-mahtāb hai tash.hīr meñ shāyad
gum ho gayā huuñ apnī hī ta.abīr meñ shāyad
uThtā hai ajab dard-e-musalsal mire dil meñ
hai haath usī kā mirī ta.amīr meñ shāyad
aate haiñ nazar ḳhvāb meñ chāñd aur sitāre
ghar se hai nikalnā mirī taqdīr meñ shāyad
ab halqa bhī paḌtā nahīñ jis kā kabhī Dhīlā
uljhā huā huuñ ik usī zanjīr meñ shāyad
ab gosh-bar-āvāz hue saare girāñ-kosh
lazzat huī paidā mirī taqdīr meñ shāyad
hotā hai dakan meñ kabhī dillī kabhī jammuñ
rahtā hai 'farīd' ab nahīñ kashmīr meñ shāyad
ek jalwa-e-mahtab hai tashhir mein shayad
gum ho gaya hun apni hi tabir mein shayad
uThta hai ajab dard-e-musalsal mere dil mein
hai hath usi ka meri tamir mein shayad
aate hain nazar KHwab mein chand aur sitare
ghar se hai nikalna meri taqdir mein shayad
ab halqa bhi paDta nahin jis ka kabhi Dhila
uljha hua hun ek usi zanjir mein shayad
ab gosh-bar-awaz hue sare giran-kosh
lazzat hui paida meri taqdir mein shayad
hota hai dakan mein kabhi dilli kabhi jammun
rahta hai 'farid' ab nahin kashmir mein shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.