ek jang ke andaz mein guftar khaDi thi
ek jang ke andaz mein guftar khaDi thi
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
ik jang ke andāz meñ guftār khaḌī thī
bad-rang anā miTne ko tayyār khaḌī thī
kyoñ 'ishq ke hī shahr pe TuuTā thā faqat qahr
jab husn kī bastī bhī gunahgār khaḌī thī
ik ḳhvāb bhī sharminda-e-tā’bīr nahīñ thā
ik niiñd shabistān meñ bedār khaḌī thī
aahaT huī gūñgī yā samā'at huī bahrī
darvāze pe yā phir koī dīvār khaḌī thī
qadmoñ kī jasārat rahī manzil kī taraf-dār
par rāhoñ se lipTī huī raftār khaḌī thī
ehsās ke par kaaT ke dil kar ke shikasta
hoñToñ se lagī tanz kī talvār khaḌī thī
kyoñ husn ke bāzār meñ chaltā mirā sikka
jab chashm-e-‘adū dil kī ḳharīdār khaḌī thī
ik aañch thī har naqsh-e-ruḳh-e-yār meñ pinhāñ
vo husn thā yā ātishī yalġhār khaḌī thī
rotā rahā 'aḳhtar' maiñ gunāhoñ se lipaT kar
aur merī ḳhirad ik taraf bīmār khaḌī thī
ek jang ke andaz mein guftar khaDi thi
bad-rang ana miTne ko tayyar khaDi thi
kyon 'ishq ke hi shahr pe TuTa tha faqat qahr
jab husn ki basti bhi gunahgar khaDi thi
ek KHwab bhi sharminda-e-ta’bir nahin tha
ek nind shabistan mein bedar khaDi thi
aahaT hui gungi ya sama'at hui bahri
darwaze pe ya phir koi diwar khaDi thi
qadmon ki jasarat rahi manzil ki taraf-dar
par rahon se lipTi hui raftar khaDi thi
ehsas ke par kaT ke dil kar ke shikasta
honTon se lagi tanz ki talwar khaDi thi
kyon husn ke bazar mein chalta mera sikka
jab chashm-e-‘adu dil ki KHaridar khaDi thi
ek aanch thi har naqsh-e-ruKH-e-yar mein pinhan
wo husn tha ya aatishi yalghaar khaDi thi
rota raha 'aKHtar' main gunahon se lipaT kar
aur meri KHirad ek taraf bimar khaDi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.