ik javānī kā sabab aur pur-armāñ honā
saḳht mushkil hai mirī maut kā āsāñ honā
maiñ kahāñ nazm kahāñ jāhil-e-mutlaq huuñ maiñ
us kī qudrat hai mirā sāhib-e-dīvāñ honā
kārgar pand-o-nasīhat nahīñ hotī us ko
jis kī taqdīr meñ likkhā ho pareshāñ honā
vaqt-e-zīnat hai mujhe un pe hañsī aatī hai
aa.ina dekhnā aur aap hī hairāñ honā
yaad aatī haiñ mujhe un kī vo bholī bāteñ
ḳhud mujhī ko sunā aur ḳhud hī pashemāñ honā
tū ne sayyād qafas par jo rakhe phuul to kyā
maut bulbul kī hai dūrī-e-gulistāñ honā
gar isī tarah haiñ ġhārat-gar-e-duniyā tire zulm
merī nazroñ meñ hai aalam kā bayābāñ honā
har rag-e-dil meñ mirī roz ḳhalish hotī hai
is meñ mumkin hai tire tiir kā paikāñ honā
ek din aane kā ik sū-e-adam jaane kā
rasm hai ḳhalq meñ do roz kā mehmāñ honā
dil ye kahtā hai mirā silsila gesū se rahā
maiñ ne sīkhā hai pareshāñ se pareshāñ honā
raushnī qabr pe kar de koī itnā bhī nahīñ
qahr hai dil kā charāġh-e-tah-e-dāmāñ honā
ai junūñ terī hī ḳhaslat hai mirī rag rag meñ
ab kabhī mujh se na tū dast-o-garebāñ honā
laash bhī terī galī se na nikalne degā
hijr meñ dam kā mire sūrat-e-armāñ honā
dil-e-betāb mirā siine se bāhar aaya
ab to mumkin hī nahīñ raaz kā pinhāñ honā
bolā jallād ki ham bātoñ meñ karte haiñ qatl
ham ko sharmātā hai shamshīr kā uryāñ honā
be-kasī kahtī hai vīrāna rahe is jā par
jis se zāhir ho kabhī gor-e-ġharībāñ honā
mere ahbāb ye kahte haiñ ki jāhil hai 'shafīq'
hai bahut jā-e-ajab is kā ġhazal ḳhvāñ honā
ek jawani ka sabab aur pur-arman hona
saKHt mushkil hai meri maut ka aasan hona
main kahan nazm kahan jahil-e-mutlaq hun main
us ki qudrat hai mera sahib-e-diwan hona
kargar pand-o-nasihat nahin hoti us ko
jis ki taqdir mein likkha ho pareshan hona
waqt-e-zinat hai mujhe un pe hansi aati hai
aaina dekhna aur aap hi hairan hona
yaad aati hain mujhe un ki wo bholi baaten
KHud mujhi ko suna aur KHud hi pasheman hona
tu ne sayyaad qafas par jo rakhe phul to kya
maut bulbul ki hai duri-e-gulistan hona
gar isi tarah hain ghaarat-gar-e-duniya tere zulm
meri nazron mein hai aalam ka bayaban hona
har rag-e-dil mein meri roz KHalish hoti hai
is mein mumkin hai tere tir ka paikan hona
ek din aane ka ek su-e-adam jaane ka
rasm hai KHalq mein do roz ka mehman hona
dil ye kahta hai mera silsila gesu se raha
main ne sikha hai pareshan se pareshan hona
raushni qabr pe kar de koi itna bhi nahin
qahr hai dil ka charagh-e-tah-e-daman hona
ai junun teri hi KHaslat hai meri rag rag mein
ab kabhi mujh se na tu dast-o-gareban hona
lash bhi teri gali se na nikalne dega
hijr mein dam ka mere surat-e-arman hona
dil-e-betab mera sine se bahar aaya
ab to mumkin hi nahin raaz ka pinhan hona
bola jallad ki hum baaton mein karte hain qatl
hum ko sharmata hai shamshir ka uryan hona
be-kasi kahti hai virana rahe is ja par
jis se zahir ho kabhi gor-e-ghariban hona
mere ahbab ye kahte hain ki jahil hai 'shafiq'
hai bahut ja-e-ajab is ka ghazal KHwan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.