ek jhalak mein le gai sab luT kar achchha laga
ik jhalak meñ le ga.ī sab luuT kar achchhā lagā
us ne nazroñ se milā.ī jab nazar achchhā lagā
vo achānak mujh se milne aa.e ghar achchhā lagā
mere ġham kī kar ga.e pal meñ sahar achchhā lagā
dekh kar chehre ko un ke dekhtā hī rah gayā
ho gayā mujh par na jaane kab asar achchhā lagā
dil ke kāġhaz par ġhazal ban kar utar aa.ī hai vo
sochtā thā jis ko maiñ pahroñ-pahar achchhā lagā
husn vāloñ se mohabbat kā sila ye pā liyā
choT khaa.ī dil pe hai ghāyal jigar achchhā lagā
chain se vo bhī kahāñ hai chhoḌ kar 'shāriq' mujhe
jāgtī rahtī hai vo bhī rāt-bhar achchhā lagā
ek jhalak mein le gai sab luT kar achchha laga
us ne nazron se milai jab nazar achchha laga
wo achanak mujh se milne aae ghar achchha laga
mere gham ki kar gae pal mein sahar achchha laga
dekh kar chehre ko un ke dekhta hi rah gaya
ho gaya mujh par na jaane kab asar achchha laga
dil ke kaghaz par ghazal ban kar utar aai hai wo
sochta tha jis ko main pahron-pahar achchha laga
husn walon se mohabbat ka sila ye pa liya
choT khai dil pe hai ghayal jigar achchha laga
chain se wo bhi kahan hai chhoD kar 'shaariq' mujhe
jagti rahti hai wo bhi raat-bhar achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.