ek kali ko gulab hona tha
ik kalī ko gulāb honā thā
merā ḳhāna-ḳharāb honā thā
us ko bechain pā ke dil meñ mire
ik ajab iztirāb honā thā
jis se ye dil mirā bahal jaatā
aañkh meñ aisā ḳhvāb honā thā
dil kī āñkhoñ se jis ko maiñ paḌhtā
tum ko aisī kitāb honā thā
ham ne pechīda vo savāl kiyā
aap ko lā-javāb honā thā
jis jagah par gunāh hote haiñ
us jagah par azaab honā thā
merī har ik ḳhatā kā ai 'ahmad'
ik na ik din hisāb honā thā
ek kali ko gulab hona tha
mera KHana-KHarab hona tha
us ko bechain pa ke dil mein mere
ek ajab iztirab hona tha
jis se ye dil mera bahal jata
aankh mein aisa KHwab hona tha
dil ki aankhon se jis ko main paDhta
tum ko aisi kitab hona tha
hum ne pechida wo sawal kiya
aap ko la-jawab hona tha
jis jagah par gunah hote hain
us jagah par azab hona tha
meri har ek KHata ka ai 'ahmad'
ek na ek din hisab hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.