ek kali mein poshida kul hayat rakh di hai
ik kalī meñ poshīda kul hayāt rakh dī hai
titliyoñ kī āñkhoñ meñ kā.enāt rakh dī hai
maiñ ik aam sī aurat merī āzmā.ish kyā
mere sāmne lā kar kyuuñ furāt rakh dī hai
us ke ik ishāre par dil kā faisla Thahrā
maiñ ne jiit haar apnī jis ke haat rakh dī hai
umr ghaTtī jaatī hai fāsla nahīñ kaTtā
tū ne merī rāhoñ meñ kaisī raat rakh dī hai
maiñ huuñ ek shīshagar jis ne apne shīshe meñ
aks hī nahīñ rakkhā puurī zaat rakh dī hai
ab ise gila kahiye yā samjhiye apnā-pan
baat baat meñ ham ne apnī baat rakh dī hai
'zahrā' ham to ab Thahre dhaḌkanoñ ke saudāgar
harf harf meñ dil kī vārdāt rakh dī hai
ek kali mein poshida kul hayat rakh di hai
titliyon ki aankhon mein kaenat rakh di hai
main ek aam si aurat meri aazmaish kya
mere samne la kar kyun furaat rakh di hai
us ke ek ishaare par dil ka faisla Thahra
main ne jit haar apni jis ke hat rakh di hai
umr ghaTti jati hai fasla nahin kaTta
tu ne meri rahon mein kaisi raat rakh di hai
main hun ek shishagar jis ne apne shishe mein
aks hi nahin rakkha puri zat rakh di hai
ab ise gila kahiye ya samjhiye apna-pan
baat baat mein hum ne apni baat rakh di hai
'zahra' hum to ab Thahre dhaDkanon ke saudagar
harf harf mein dil ki wardat rakh di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.