ek ke baad ek aziyyat ke salasil mein paDa
ik ke baa'd ek aziyyat ke salāsil meñ paḌā
haa.e kyūñkar maiñ mohabbat ke masā.il meñ paḌā
aisā vīrān thā siina ki nikalne ko thī jaan
aur phir mere sanam terā qadam dil meñ paḌā
dard hī dard hameñ de ke gayā hai yā-rab
sābiqa jis se bhī tujh dahr kī mahfil meñ paḌā
aks vo hai ki jo mahtāb ke ruḳh meñ jhamke
us kā kyā hove kavākib kī jo jhilmil meñ paḌā
ishq kī raah pe avval to chalā koī nahīñ
chal paḌā jo milā murda rah-e-manzil meñ paḌā
din dikheñge nahīñ ḳhushiyoñ ke kabhī mujh ko 'azīz'
aks mujh ġham kā hai ik dīda-e-qātil meñ paḌā
ek ke ba'd ek aziyyat ke salasil mein paDa
hae kyunkar main mohabbat ke masail mein paDa
aisa viran tha sina ki nikalne ko thi jaan
aur phir mere sanam tera qadam dil mein paDa
dard hi dard hamein de ke gaya hai ya-rab
sabiqa jis se bhi tujh dahr ki mahfil mein paDa
aks wo hai ki jo mahtab ke ruKH mein jhamke
us ka kya howe kawakib ki jo jhilmil mein paDa
ishq ki rah pe awwal to chala koi nahin
chal paDa jo mila murda rah-e-manzil mein paDa
din dikhenge nahin KHushiyon ke kabhi mujh ko 'aziz'
aks mujh gham ka hai ek dida-e-qatil mein paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.