ek KHala andar utar jaane diya
ik ḳhalā andar utar jaane diyā
ḳhud ko ḳhālī-pan se bhar jaane diyā
jaan muḌ kar dekhtī thī bār-bār
jism ne us ko magar jaane diyā
kar hī kyā sakte the ham so umr bhar
rafta-rafta ḳhud ko mar jaane diyā
sar chhupāyā apnā apne aap meñ
aur tūfāñ ko guzar jaane diyā
ham na rakh paa.e zabāñ apnī ḳhamosh
sar to jaanā hī thā sar jaane diyā
ek KHala andar utar jaane diya
KHud ko KHali-pan se bhar jaane diya
jaan muD kar dekhti thi bar-bar
jism ne us ko magar jaane diya
kar hi kya sakte the hum so umr bhar
rafta-rafta KHud ko mar jaane diya
sar chhupaya apna apne aap mein
aur tufan ko guzar jaane diya
hum na rakh pae zaban apni KHamosh
sar to jaana hi tha sar jaane diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.