ek KHata barha nahin karte
ik ḳhatā bārhā nahīñ karte
ab kisī se vafā nahīñ karte
ham se ummīd kyā vo rakhte haiñ
ham koī mo.ajiza nahīñ karte
ishq karte haiñ aaj bhī lekin
vasl kī ab duā nahīñ karte
kyoñ vo ham ko sañvār detā hai
ham ujaḌne ko kyā nahīñ karte
ham bhī shikve chhupā ke rakhte haiñ
vo bhī ham se gila nahīñ karte
yaad rakhnā tum is zamāne meñ
yaar ham se milā nahīñ karte
tum bhī 'afrang' zaḳhm de lo hameñ
ham kisī ko ḳhafā nahīñ karte
ek KHata barha nahin karte
ab kisi se wafa nahin karte
hum se ummid kya wo rakhte hain
hum koi moajiza nahin karte
ishq karte hain aaj bhi lekin
wasl ki ab dua nahin karte
kyon wo hum ko sanwar deta hai
hum ujaDne ko kya nahin karte
hum bhi shikwe chhupa ke rakhte hain
wo bhi hum se gila nahin karte
yaad rakhna tum is zamane mein
yar hum se mila nahin karte
tum bhi 'afrang' zaKHm de lo hamein
hum kisi ko KHafa nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.