ek KHwab ke asar mein kai din guzar gae
ik ḳhvāb ke asar meñ ka.ī din guzar ga.e
phir yuuñ huā ki aañkh khulī ham bikhar ga.e
jab paañv ke nishān nishānī kī tarah the
tab log kis Dagar pe chale aur kidhar ga.e
kal aañkh ke shajar se ka.ī phuul yaad ke
palkoñ se ho ke dil kī saḌak ḳhuub bhar ga.e
ai dukh tirī tavīl rifāqat ke ba.ad bhī
ḳhud se mile haiñ log to kitne nikhar ga.e
is baar phuul dhuup se nārāz the aziiz
sāya-farosh jitne bhī the be-hunar ga.e
ek KHwab ke asar mein kai din guzar gae
phir yun hua ki aankh khuli hum bikhar gae
jab panw ke nishan nishani ki tarah the
tab log kis Dagar pe chale aur kidhar gae
kal aankh ke shajar se kai phul yaad ke
palkon se ho ke dil ki saDak KHub bhar gae
ai dukh teri tawil rifaqat ke baad bhi
KHud se mile hain log to kitne nikhar gae
is bar phul dhup se naraaz the aziz
saya-farosh jitne bhi the be-hunar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.