ek KHwab musalsal tha ki khulta hi nahin tha
ik ḳhvāb musalsal thā ki khultā hī nahīñ thā
kyā peḌ thā jis kā koī saaya hī nahīñ thā
vo dard uThā aaj ki dil baiTh rahā hai
kashtī huī tayyār to dariyā hī nahīñ thā
māthe pe shikan koī na ehsās-e-nadāmat
vo kaTte saroñ ko kabhī gintā hī nahīñ thā
ab jaan pe ban aa.ī to ehsās huā hai
jo dekh rahe the vo tamāshā hī nahīñ thā
sadiyoñ kī vafāoñ pe musallat rahā har dam
ik lamha-e-inkār jo guzrā hī nahīñ thā
ek KHwab musalsal tha ki khulta hi nahin tha
kya peD tha jis ka koi saya hi nahin tha
wo dard uTha aaj ki dil baiTh raha hai
kashti hui tayyar to dariya hi nahin tha
mathe pe shikan koi na ehsas-e-nadamat
wo kaTte saron ko kabhi ginta hi nahin tha
ab jaan pe ban aai to ehsas hua hai
jo dekh rahe the wo tamasha hi nahin tha
sadiyon ki wafaon pe musallat raha har dam
ek lamha-e-inkar jo guzra hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.