ek kutub-KHana hun apne darmiyan khole hue
ik kutub-ḳhāna huuñ apne darmiyāñ khole hue
sab kitābeñ safha-e-harf-e-ziyāñ khole hue
ik judā.ī par huuñ hairāñ jis tarah koī pahāḌ
qatl par hābīl ke apnā dahāñ khole hue
bad-duā-e-nā-rasā.ī kaam apnā kar chukī
apnī saarī parteñ hai kyuuñ āsmāñ khole hue
band rakkho muTThiyoñ ko ret uḌtī hai yahāñ
jaane kaun aa jaa.e dast-e-rā.egāñ khole hue
pal do pal kā saath hai ab raushnī kā chal paḌeñ
shaam hai ik katba-e-qabr-e-javāñ khole hue
sāhiloñ pe likkhī tahrīr-e-havā paḌhtā bhī kaun
kashtiyāñ thiiñ ḳhvāhishoñ ke bādbāñ khole hue
ek kutub-KHana hun apne darmiyan khole hue
sab kitaben safha-e-harf-e-ziyan khole hue
ek judai par hun hairan jis tarah koi pahaD
qatl par habil ke apna dahan khole hue
bad-dua-e-na-rasai kaam apna kar chuki
apni sari parten hai kyun aasman khole hue
band rakkho muTThiyon ko ret uDti hai yahan
jaane kaun aa jae dast-e-raegan khole hue
pal do pal ka sath hai ab raushni ka chal paDen
sham hai ek katba-e-qabr-e-jawan khole hue
sahilon pe likkhi tahrir-e-hawa paDhta bhi kaun
kashtiyan thin KHwahishon ke baadban khole hue
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 13)
- Author : musavvir sabzvaarii
- Publication : modern publishing house 9, gola market, darya ganj new delhi-110002 (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.