ek lamha jo furqat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek lamha jo furqat ke siwa aur bhi kuchh tha
Yahya Khan Yusuf Zai
MORE BYYahya Khan Yusuf Zai
ik lamha jo furqat ke sivā aur bhī kuchh thā
ik ġham jo qayāmat ke sivā aur bhī kuchh thā
ik chehra nigāhoñ ke liye faiz-rasāñ thā
ik ḳhvāb ziyārat ke sivā aur bhī kuchh thā
ik naqsh tasavvur ke pare bhī thā mujassam
ik vahm haqīqat ke sivā aur bhī kuchh thā
ik daaġh jo rakhtā thā mire siine ko raushan
ik naam jo tohmat ke sivā aur bhī kuchh thā
ik saut-e-mahz raunaq-e-vīrānī-e-dil thī
ik gul dam-e-vahshat ke sivā aur bhī kuchh thā
ik yaad ḳhayāloñ ke alāva bhī thī maujūd
ik zaḳhm aziyyat ke sivā aur bhī kuchh thā
ye daur qayāmat kā jise ham ne guzārā
ik umr kī mohlat ke sivā aur bhī kuchh thā
ek lamha jo furqat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek gham jo qayamat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek chehra nigahon ke liye faiz-rasan tha
ek KHwab ziyarat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek naqsh tasawwur ke pare bhi tha mujassam
ek wahm haqiqat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek dagh jo rakhta tha mere sine ko raushan
ek nam jo tohmat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek saut-e-mahz raunaq-e-virani-e-dil thi
ek gul dam-e-wahshat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek yaad KHayalon ke alawa bhi thi maujud
ek zaKHm aziyyat ke siwa aur bhi kuchh tha
ye daur qayamat ka jise hum ne guzara
ek umr ki mohlat ke siwa aur bhi kuchh tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.