ek machalti hui aarzu ko liye
ik machaltī huī aarzū ko liye
dil meñ ik aas kā shoḳh dīpak jale
tum se milne kī ummīd meñ chal diye
jab bhī aage baḌhe ḳhud se hī ham mile
vo kisī ḳhvāb kī shoḳh ta.abīr the
qurb ke hausle gungunāne lage
ḳhud-farebī ke nange ujāle liye
ḳhvāb ke jangaloñ meñ rahe ghūmte
ajnabī soch ke ajnabī zā.iqe
dard ban kar diloñ meñ utarte rahe
terī chāhat machaltī rahī dam-ba-dam
ek rangīñ ġhazal kā tarannum liye
raat ke shoḳh shānoñ se āñchal girā
tīrgī thī nagan āsmāñ ke tale
ho ga.ī har taraf shabnamī raushnī
ashk palkoñ pe aakar machalne lage
raat bhar tishnagī hī machaltī rahī
chand bikhre hue ḳhvāb yakjā kiye
ajnabī dastakeñ ajnabī dhaḌkaneñ
zindagī ab mujhe kuchh ḳhafā sī lage
ek machalti hui aarzu ko liye
dil mein ek aas ka shoKH dipak jale
tum se milne ki ummid mein chal diye
jab bhi aage baDhe KHud se hi hum mile
wo kisi KHwab ki shoKH tabir the
qurb ke hausle gungunane lage
KHud-farebi ke nange ujale liye
KHwab ke jangalon mein rahe ghumte
ajnabi soch ke ajnabi zaiqe
dard ban kar dilon mein utarte rahe
teri chahat machalti rahi dam-ba-dam
ek rangin ghazal ka tarannum liye
raat ke shoKH shanon se aanchal gira
tirgi thi nagan aasman ke tale
ho gai har taraf shabnami raushni
ashk palkon pe aakar machalne lage
raat bhar tishnagi hi machalti rahi
chand bikhre hue KHwab yakja kiye
ajnabi dastaken ajnabi dhaDkanen
zindagi ab mujhe kuchh KHafa si lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.