Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mahak rauzan-ba-rauzan shairi karti rahi

Sheeraz Sagar

ek mahak rauzan-ba-rauzan shairi karti rahi

Sheeraz Sagar

MORE BYSheeraz Sagar

    ik mahak rauzan-ba-rauzan shā'irī kartī rahī

    raat raanī hama-tan shā'irī kartī rahī

    ik taraf thī nīm-shab aur ik taraf shauq-e-visāl

    hoñT chup the aur dhaḌkan shā'irī kartī rahī

    maiñ rahā ḳhāmosh jis parda-dārī ke liye

    toḌ kar vo saare bandhan shā'irī kartī rahī

    chup rahī sahrā.ī surma Daal kar chashm-e-falak

    aañkh merī saarā sāvan shā'irī kartī rahī

    rāt-bhar piite rahe ham tā-sahar sunte rahe

    sāġhar-o-mīnā khan-khan shā'irī kartī rahī

    aañkh meñ aañsū bhī the aur paañv meñ ghuñghrū bhī the

    ek rim-jhim ek chhan-chhan shā'irī kartī rahī

    rāt-bhar sunte rahe ‘shīrāz-sāgar' ġhazal

    ek tārīkī bhī raushan shā'irī kartī rahī

    ek mahak rauzan-ba-rauzan sha'iri karti rahi

    raat ki rani hama-tan sha'iri karti rahi

    ek taraf thi nim-shab aur ek taraf shauq-e-visal

    honT chup the aur dhaDkan sha'iri karti rahi

    main raha KHamosh jis ki parda-dari ke liye

    toD kar wo sare bandhan sha'iri karti rahi

    chup rahi sahrai surma Dal kar chashm-e-falak

    aankh meri sara sawan sha'iri karti rahi

    raat-bhar pite rahe hum ta-sahar sunte rahe

    saghar-o-mina ki khan-khan sha'iri karti rahi

    aankh mein aansu bhi the aur panw mein ghunghru bhi the

    ek rim-jhim ek chhan-chhan sha'iri karti rahi

    raat-bhar sunte rahe ‘shiraaz-sagar' ki ghazal

    ek tariki bhi raushan sha'iri karti rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now