ek main hun jo hota nahin diwana-e-duniya
ek main hun jo hota nahin diwana-e-duniya
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ik maiñ huuñ jo hotā nahīñ dīvāna-e-duniyā
hai raas har ik shaḳhs ko vīrāna-e-duniyā
sab aarzī lazzāt ke dīvāne hue haiñ
ik roz kabhī dekhiye mai-ḳhāna-e-duniyā
buniyād meñ jis chiiz ke haiñ māddī anāsir
ābād bhalā kaise ho vo ḳhāna-e-duniyā
darvesh huuñ aur duur hī rahtā huuñ hamesha
so mujh ko mayassar nahīñ kāshāna-e-duniyā
duniyāvī ḳhurāfāt se nafrat thī azal se
maiñ sun nahīñ paayā kabhī afsāna-e-duniyā
ek main hun jo hota nahin diwana-e-duniya
hai ras har ek shaKHs ko virana-e-duniya
sab aarzi lazzat ke diwane hue hain
ek roz kabhi dekhiye mai-KHana-e-duniya
buniyaad mein jis chiz ke hain maddi anasir
aabaad bhala kaise ho wo KHana-e-duniya
darwesh hun aur dur hi rahta hun hamesha
so mujh ko mayassar nahin kashana-e-duniya
duniyawi KHurafat se nafrat thi azal se
main sun nahin paya kabhi afsana-e-duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.