ek mehrban ki yaad satae to kya karen
ik mehrbāñ kī yaad satā.e to kyā kareñ
shab bhar ḳhayāl us kā jagā.e to kyā kareñ
ham haiñ shabān-e-hijr ke maare hameñ koī
qisse visāl ke jo sunā.e to kyā kareñ
maanā ki shai burī hai magar phir bhī jab koī
le kar tumhārā naam pilā.e to kyā kareñ
bārish ho mai-kada bhī ho mausam bhī sard ho
aise meñ terī yaad bhī aa.e to kyā kareñ
ham ko bhī hai gurez magar naaz se hameñ
saaqī nazar milā ke pilā.e to kyā kareñ
pās-e-adab kī baat bhī hotī hai shaiḳh jī
mahfil meñ yaar jaam thamā.e to kyā kareñ
chalte haiñ 'shān' ham bhī haram ko magar vahāñ
zamzam bhī tishnagī na miTā.e to kyā kareñ
ek mehrban ki yaad satae to kya karen
shab bhar KHayal us ka jagae to kya karen
hum hain shaban-e-hijr ke mare hamein koi
qisse visal ke jo sunae to kya karen
mana ki shai buri hai magar phir bhi jab koi
le kar tumhaara nam pilae to kya karen
barish ho mai-kada bhi ho mausam bhi sard ho
aise mein teri yaad bhi aae to kya karen
hum ko bhi hai gurez magar naz se hamein
saqi nazar mila ke pilae to kya karen
pas-e-adab ki baat bhi hoti hai shaiKH ji
mahfil mein yar jam thamae to kya karen
chalte hain 'shan' hum bhi haram ko magar wahan
zamzam bhi tishnagi na miTae to kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.