ek mulaqat mein asrar nahin khulte hain
ik mulāqāt meñ asrār nahīñ khulte haiñ
dāstāñ-goī se kirdār nahīñ khulte haiñ
aisī duniyā meñ unheñ band kiyā jaatā hai
khulne vaale bhī ka.ī baar nahīñ khulte haiñ
dastakeñ dījiye sar māriye jo marzī kareñ
roz to shāhoñ ke darbār nahīñ khulte haiñ
bātoñ bātoñ meñ mujhe us ne kahī dil kī baat
maiñ samajhtā thā samajhdār nahīñ khulte haiñ
aurteñ bachche sulā ke chalī aatī haiñ yahāñ
das savā das yahāñ bāzār nahīñ khulte haiñ
ek mulaqat mein asrar nahin khulte hain
dastan-goi se kirdar nahin khulte hain
aisi duniya mein unhen band kiya jata hai
khulne wale bhi kai bar nahin khulte hain
dastaken dijiye sar mariye jo marzi karen
roz to shahon ke darbar nahin khulte hain
baaton baaton mein mujhe us ne kahi dil ki baat
main samajhta tha samajhdar nahin khulte hain
aurten bachche sula ke chali aati hain yahan
das sawa das yahan bazar nahin khulte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.