ek murgh-e-chaman waqt-e-sahar bol raha hai
ik murġh-e-chaman vaqt-e-sahar bol rahā hai
sayyād kā har rāz-e-nihāñ khol rahā hai
jazbāt kī lahroñ pe tarannum ke ye naġhme
ye kaun hai kānoñ meñ jo ras ghol rahā hai
haq baat kī azmat kā to qaa.il hai zamāna
sachchā.ī kā motī bahut anmol rahā hai
kyoñ raaz tire dil kā huā jaatā hai ifshā
jaadū hai jo sar chaḌh ke tire bol rahā hai
har baat kasauTī pe jo rakhtā hai zamāna
har harf tamannā kā tirī tol rahā hai
jab sar se kafan bāñdh ke tū ghar se chalā hai
kyoñ azm tirā vaqt-e-safar Dol rahā hai
kahte haiñ 'jamīl' aap ko begāna-e-hastī
ye raaz sar-e-bazm koī khol rahā hai
ek murgh-e-chaman waqt-e-sahar bol raha hai
sayyaad ka har raaz-e-nihan khol raha hai
jazbaat ki lahron pe tarannum ke ye naghme
ye kaun hai kanon mein jo ras ghol raha hai
haq baat ki azmat ka to qail hai zamana
sachchai ka moti bahut anmol raha hai
kyon raaz tere dil ka hua jata hai ifsha
jadu hai jo sar chaDh ke tere bol raha hai
har baat kasauTi pe jo rakhta hai zamana
har harf tamanna ka teri tol raha hai
jab sar se kafan bandh ke tu ghar se chala hai
kyon azm tera waqt-e-safar Dol raha hai
kahte hain 'jamil' aap ko begana-e-hasti
ye raaz sar-e-bazm koi khol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.