ek na aane wale ka intizar karte hain
ik na aane vaale kā intizār karte haiñ
sham-e-rah-guzar haiñ ham roz bujhte-jalte haiñ
mere kuchh na kahne ko harf-e-ārzū samjho
ḳhāmushī meñ bhī ma.anī kuchh na kuchh nikalte haiñ
ek nashsha rahtā hai tujh se mil ke pahroñ tak
nashsha jab nahīñ hotā aur ham bahakte haiñ
rāh-e-dard meñ koī ham-safar nahīñ hotā
apnī aag meñ ḳhud hī sham.a saañ pighalte haiñ
dekhnā hai kaun 'ishqī' saath de sar-e-manzil
ibtidā meñ to sab hī saath saath chalte haiñ
ek na aane wale ka intizar karte hain
sham-e-rah-guzar hain hum roz bujhte-jalte hain
mere kuchh na kahne ko harf-e-arzu samjho
KHamushi mein bhi mani kuchh na kuchh nikalte hain
ek nashsha rahta hai tujh se mil ke pahron tak
nashsha jab nahin hota aur hum bahakte hain
rah-e-dard mein koi ham-safar nahin hota
apni aag mein KHud hi shama san pighalte hain
dekhna hai kaun 'ishqi' sath de sar-e-manzil
ibtida mein to sab hi sath sath chalte hain
- Book : Qamat (Pg. 38)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.