ek na ek din to sabhi ko hi qaza aaegi
ik na ik din to sabhī ko hī qazā aa.egī
āḳhirī vaqt meñ bas kaam duā aa.egī
haath gar mujh se chhuḌānā bhī kabhī chāhe tum
dekhnā beach meñ ye merī vafā aa.egī
aib to DhūñD na pā.egā merī chāhat meñ
haath tere koī chhoTī sī ḳhatā aa.egī
ishq kā rog agar lag hī gayā hai us ko
phir kahāñ us ke kisī kaam davā aa.egī
jāgtī āñkhoñ meñ hai ḳhvāb tire ai hamdam
aaj un ko bhī kahāñ niiñd bhalā aa.egī
ek na ek din to sabhi ko hi qaza aaegi
aaKHiri waqt mein bas kaam dua aaegi
hath gar mujh se chhuDana bhi kabhi chahe tum
dekhna beach mein ye meri wafa aaegi
aib to DhunD na paega meri chahat mein
hath tere koi chhoTi si KHata aaegi
ishq ka rog agar lag hi gaya hai us ko
phir kahan us ke kisi kaam dawa aaegi
jagti aankhon mein hai KHwab tere ai hamdam
aaj un ko bhi kahan nind bhala aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.