ek na ek shaKH tamanna ki hari rahti hai
ik na ik shāḳh tamanna kī harī rahtī hai
phuul mil jaa.e to kāñToñ kī kamī rahtī hai
dast-e-qābū se bahut duur nikal jaatī hai
dil meñ jo hasrat-e-nākām dabī rahtī hai
aisā lagtā hai ki duniyā ne satāyā hai bahut
har dam us shaḳhs ke hoñToñ pe hañsī rahtī hai
‘adl-o-insāf shahanshāh ke aivāñ meñ kahāñ
dekhne ke liye zanjīr lagī rahtī hai
terī yādoñ ke sivā kaun yahāñ aatā hai
kis kī ḳhushbū mire kamre meñ basī rahtī hai
'ishq har aan havādis meñ ghirā rahtā hai
husn vāloñ ko mohabbat kī paḌī rahtī hai
guzar-auqāt kī kyā pūchh rahe ho 'irfān'
din guzarte haiñ magar raat khaḌī rahtī hai
ek na ek shaKH tamanna ki hari rahti hai
phul mil jae to kanTon ki kami rahti hai
dast-e-qabu se bahut dur nikal jati hai
dil mein jo hasrat-e-nakaam dabi rahti hai
aisa lagta hai ki duniya ne sataya hai bahut
har dam us shaKHs ke honTon pe hansi rahti hai
‘adl-o-insaf shahanshah ke aiwan mein kahan
dekhne ke liye zanjir lagi rahti hai
teri yaadon ke siwa kaun yahan aata hai
kis ki KHushbu mere kamre mein basi rahti hai
'ishq har aan hawadis mein ghira rahta hai
husn walon ko mohabbat ki paDi rahti hai
guzar-auqat ki kya puchh rahe ho 'irfan'
din guzarte hain magar raat khaDi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.