ek nam jo mahfil mein pukara nahin jata
ik naam jo mahfil meñ pukārā nahīñ jaatā
vo naam vahāñ phir se dubāra nahīñ jaatā
jis daur meñ miltī thī yahāñ sab ko rihā.ī
us daur se kyoñ mujh ko guzārā nahīñ jaatā
miltā rahā ye zahr amīrī kā jo mujh ko
vo halq meñ aTkā hai utārā nahīñ jaatā
tū bhī ye samajhtā hai chalā jā.ūñgā maiñ bhī
huuñ yaar tire paas ḳhudārā nahīñ jaatā
jo rauñd ga.e kyūñki vo apne the 'huzaifa'
so un kī taraf merā ishāra nahīñ jaatā
ek nam jo mahfil mein pukara nahin jata
wo nam wahan phir se dubara nahin jata
jis daur mein milti thi yahan sab ko rihai
us daur se kyon mujh ko guzara nahin jata
milta raha ye zahr amiri ka jo mujh ko
wo halq mein aTka hai utara nahin jata
tu bhi ye samajhta hai chala jaunga main bhi
hun yar tere pas KHudara nahin jata
jo raund gae kyunki wo apne the 'huzaifa'
so un ki taraf mera ishaara nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.