ek nae rup nae rang mein Dhal jata hai
ik na.e ruup na.e rang meñ Dhal jaatā hai
vaqt ke saath har insān badal jaatā hai
manzileñ zer-e-qadam us ke chalī aatī haiñ
Thokareñ khā ke musāfir jo sañbhal jaatā hai
sāzisheñ terī na kar pā.eñgī ham ko barbād
āñdhiy.oñ meñ bhī charāġh apnā to jal jaatā hai
ham nikalte nahīñ bāhar kabhī ḳhuddārī se
un kā har kaam ḳhushāmad se nikal jaatā hai
vaise to pesh nahīñ aatā mohabbat se kabhī
jab ġharaz ho to tirā lahja badal jaatā hai
kyā zarūrī hai bulandī se hī phisle koī
paañv pastī meñ bhī 'yāsīn' phisal jaatā hai
ek nae rup nae rang mein Dhal jata hai
waqt ke sath har insan badal jata hai
manzilen zer-e-qadam us ke chali aati hain
Thokaren kha ke musafir jo sanbhal jata hai
sazishen teri na kar paengi hum ko barbaad
aandhiyon mein bhi charagh apna to jal jata hai
hum nikalte nahin bahar kabhi KHuddari se
un ka har kaam KHushamad se nikal jata hai
waise to pesh nahin aata mohabbat se kabhi
jab gharaz ho to tera lahja badal jata hai
kya zaruri hai bulandi se hi phisle koi
panw pasti mein bhi 'yasin' phisal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.