ek nae unwan se tamir-e-jahan karte hain hum
Interesting Fact
(May 1982)
ik na.e unvāñ se ta.amīr-e-jahāñ karte haiñ ham
aaj har qatre ko bahr-e-be-karāñ karte haiñ ham
ishq meñ kab imtiyāz-e-īñ-o-āñ karte haiñ ham
jis se karte haiñ mohabbat be-gumāñ karte haiñ ham
sa.ī kuchh karte bhī haiñ to rā.egāñ karte haiñ ham
jo hameñ lāzim hai 'tālib' vo kahāñ karte haiñ ham
bijliyāñ be-tāb hotī haiñ jalāne ke liye
jab kabhī qasd-e-binā-e-āshiyāñ karte haiñ ham
jazba-e-mehr-o-vafā kī āzmā.ish shart hai
imtihāñ tum le chuke ab imtihāñ karte haiñ ham
shukriya bhī log kah sakte haiñ shikva bhī ise
iḳhtiyār aisā kuchh andāz-e-bayāñ karte haiñ ham
phir kisī nā-mehrbāñ kī yaad taḌpāne lagī
phir kisī nā-mehrbāñ ko mehrbāñ karte haiñ ham
ārzūeñ hasrateñ māyūsiyāñ nākāmiyāñ
haiñ yahī unvāñ jo zeb-e-dāstāñ karte haiñ ham
pyaar kyuuñ aa.e na apnī fitrat-e-ma.asūm par
apne dushman ko bhī apnā rāz-dāñ karte haiñ ham
āñsuoñ se tāza-tar haiñ yād-e-yārān-e-qadīm
dāġh-hā-e-dil ko rashk-e-gulsitāñ karte haiñ ham
jab yahī īmāñ hai to phir kyā kisī se mashvara
mai-kade meñ bai.at-e-pīr-e-muġhāñ karte haiñ ham
raah se kyā kaam rahbar kī hameñ kyā ehtiyāj
be-nishāñ ho kar talāsh-e-be-nishāñ karte haiñ ham
ab ḳhudā jaane ki is meñ besh kyā hai kam hai kyā
dil nazar ehsās sab nazr-e-butāñ karte haiñ ham
ek nae unwan se tamir-e-jahan karte hain hum
aaj har qatre ko bahr-e-be-karan karte hain hum
ishq mein kab imtiyaz-e-in-o-an karte hain hum
jis se karte hain mohabbat be-guman karte hain hum
sai kuchh karte bhi hain to raegan karte hain hum
jo hamein lazim hai 'talib' wo kahan karte hain hum
bijliyan be-tab hoti hain jalane ke liye
jab kabhi qasd-e-bina-e-ashiyan karte hain hum
jazba-e-mehr-o-wafa ki aazmaish shart hai
imtihan tum le chuke ab imtihan karte hain hum
shukriya bhi log kah sakte hain shikwa bhi ise
iKHtiyar aisa kuchh andaz-e-bayan karte hain hum
phir kisi na-mehrban ki yaad taDpane lagi
phir kisi na-mehrban ko mehrban karte hain hum
aarzuen hasraten mayusiyan nakaamiyan
hain yahi unwan jo zeb-e-dastan karte hain hum
pyar kyun aae na apni fitrat-e-masum par
apne dushman ko bhi apna raaz-dan karte hain hum
aansuon se taza-tar hain yaad-e-yaran-e-qadim
dagh-ha-e-dil ko rashk-e-gulsitan karte hain hum
jab yahi iman hai to phir kya kisi se mashwara
mai-kade mein baiat-e-pir-e-mughan karte hain hum
rah se kya kaam rahbar ki hamein kya ehtiyaj
be-nishan ho kar talash-e-be-nishan karte hain hum
ab KHuda jaane ki is mein besh kya hai kam hai kya
dil nazar ehsas sab nazr-e-butan karte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.