ek nai dastan sunane do
ik na.ī dāstāñ sunāne do
aaj kī niiñd phir gañvāne do
beḌiyāñ toḌ kar samājoñ kī
'ishq meñ qaid haiñ divāne do
mere maazī ke regzāroñ meñ
ḳhat mile haiñ mujhe purāne do
aaj ro.eñge ham bhī jī bhar ke
ġham to bas ek hai bahāne do
us ko āzād kar chukī huuñ maiñ
phir bhī kahtā hai mujh ko jaane do
ek chehre se maiñ pareshāñ huuñ
ab mujhe aa.ine sajāne do
raqs kartī hai mujh meñ ḳhāmoshī
thak ga.ī hai use sulāne do
ek nai dastan sunane do
aaj ki nind phir ganwane do
beDiyan toD kar samajon ki
'ishq mein qaid hain diwane do
mere mazi ke regzaron mein
KHat mile hain mujhe purane do
aaj roenge hum bhi ji bhar ke
gham to bas ek hai bahane do
us ko aazad kar chuki hun main
phir bhi kahta hai mujh ko jaane do
ek chehre se main pareshan hun
ab mujhe aaine sajaane do
raqs karti hai mujh mein KHamoshi
thak gai hai use sulane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.