ek naya karb mere dil mein janam leta hai
ik nayā karb mire dil meñ janam letā hai
qāfila dard kā kuchh der jo dam letā hai
rañg paatā hai mire ḳhūn-e-jigar se gul-e-sher
sabza-e-fikr mirī aañkh se nam letā hai
aabrū haqq-o-sadāqat kī baḌhā detā hai
jab bhī suqrāt koī sāġhar-e-sam letā hai
raat ke saa.e meñ shabnam ke guhar Dhalte haiñ
raat kī kokh se ḳhurshīd janam letā hai
zehn be-nām dhuñdlakoñ meñ bhaTak jaatā hai
aaj fankār jo hāthoñ meñ qalam letā hai
jis ko ho daulat-e-ehsās mayassar 'tā.ib'
chain vo kār-gah-e-zīst meñ kam letā hai
ek naya karb mere dil mein janam leta hai
qafila dard ka kuchh der jo dam leta hai
rang pata hai mere KHun-e-jigar se gul-e-sher
sabza-e-fikr meri aankh se nam leta hai
aabru haqq-o-sadaqat ki baDha deta hai
jab bhi suqraat koi saghar-e-sam leta hai
raat ke sae mein shabnam ke guhar Dhalte hain
raat ki kokh se KHurshid janam leta hai
zehn be-nam dhundlakon mein bhaTak jata hai
aaj fankar jo hathon mein qalam leta hai
jis ko ho daulat-e-ehsas mayassar 'taib'
chain wo kar-gah-e-zist mein kam leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.