ek nazar dekh le tu udhar zindagi
ik nazar dekh le tū udhar zindagī
kaise hotī hai tujh bin basar zindagī
ik sadī kī tarah umr guzrī mirī
zindagī thī magar muḳhtasar zindagī
haath se haath chhūTā hai jab se tirā
DhūñDhtā huuñ tujhe dar-ba-dar zindagī
ruuh se dil se rishta rahā hī nahīñ
log jiite rahe jism-bhar zindagī
saañs bojhal huī jism bhī thak gayā
maut bolī ki chal mere ghar zindagī
maut ne ik mukammal Thikānā diyā
ab na aanā udhar se idhar zindagī
jo kahīñ bhī Thahar jaa.e so aur hai
ai shajar hai musalsal safar zindagī
ek nazar dekh le tu udhar zindagi
kaise hoti hai tujh bin basar zindagi
ek sadi ki tarah umr guzri meri
zindagi thi magar muKHtasar zindagi
hath se hath chhuTa hai jab se tera
DhunDhta hun tujhe dar-ba-dar zindagi
ruh se dil se rishta raha hi nahin
log jite rahe jism-bhar zindagi
sans bojhal hui jism bhi thak gaya
maut boli ki chal mere ghar zindagi
maut ne ek mukammal Thikana diya
ab na aana udhar se idhar zindagi
jo kahin bhi Thahar jae so aur hai
ai shajar hai musalsal safar zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.