ek nazar pyar ki idhar kar de
ik nazar pyaar kī idhar kar de
tū mukammal mirā safar kar de
ruuh kī tishnagī miTāne ko
apnī chāhat se tar-ba-tar kar de
maiñ musāfir banūñ madīne kā
mujh pe rahmat kī ik nazar kar de
vaqt-e-ruḳhsat hai diid kī ḳhvāhish
koī jā kar unheñ ḳhabar kar de
apne hāthoñ se pheñk do ḳhanjar
sāmne ḳham koī jo sar kar de
shaah koī ho yā gadā koī
tū jise chāhe mo'atabar kar de
chāhtā hai sukūn-e-dil jo 'taqī'
ḳhvāhisheñ apnī muḳhtasar kar de
ek nazar pyar ki idhar kar de
tu mukammal mera safar kar de
ruh ki tishnagi miTane ko
apni chahat se tar-ba-tar kar de
main musafir banun madine ka
mujh pe rahmat ki ek nazar kar de
waqt-e-ruKHsat hai did ki KHwahish
koi ja kar unhen KHabar kar de
apne hathon se phenk do KHanjar
samne KHam koi jo sar kar de
shah koi ho ya gada koi
tu jise chahe mo'atabar kar de
chahta hai sukun-e-dil jo 'taqi'
KHwahishen apni muKHtasar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.