ek nigah-e-be-ruKHi se gharq hote zaiqe
ik nigāh-e-be-ruḳhī se ġharq hote zā.iqe
lo chakho tahlīl ġharb-o-sharq hote zā.iqe
tab samajh meñ aa bhī jaate un kī duurī ke sabab
jab zamīn-o-āsmāñ ke farq hote zā.iqe
tū samajh saktā nahīñ hai ishq kī me.arāj ko
tū ne chakkhe hī nahīñ haiñ barq hote zā.iqe
umr guzrī par na samjhā zā.iqoñ ke farq ko
zarq lagte zā.iqe the barq hote zā.iqe
ek nigah-e-be-ruKHi se gharq hote zaiqe
lo chakho tahlil gharb-o-sharq hote zaiqe
tab samajh mein aa bhi jate un ki duri ke sabab
jab zamin-o-asman ke farq hote zaiqe
tu samajh sakta nahin hai ishq ki mearaj ko
tu ne chakkhe hi nahin hain barq hote zaiqe
umr guzri par na samjha zaiqon ke farq ko
zarq lagte zaiqe the barq hote zaiqe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.