ek purani sharab jaisa ishq
ik purānī sharāb jaisā ishq
mujh se ḳhāna-ḳharāb jaisā ishq
'mīr' kī ek ġhazal sā dil-afroz
ik muqaddas kitāb jaisā ishq
hai gunah bhī yahī ibādat bhī
āqibat ke hisāb jaisā ishq
kabhī sahrā kabhī samundar hai
kabhī gañgā ke aab jaisā ishq
sau duāoñ kā mustaqil ehsās
bandagī ke savāb jaisā ishq
āb-e-zam-zam hai is ko pī liije
hai muqaddas sharāb jaisā ishq
muḳhtasar bahr kī hai merī ġhazal
is ġhazal ke javāb jaisā ishq
kisī ma.ashūq ke badan kī mahak
ek taaza gulāb jaisā ishq
ek purani sharab jaisa ishq
mujh se KHana-KHarab jaisa ishq
'mir' ki ek ghazal sa dil-afroz
ek muqaddas kitab jaisa ishq
hai gunah bhi yahi ibaadat bhi
aaqibat ke hisab jaisa ishq
kabhi sahra kabhi samundar hai
kabhi ganga ke aab jaisa ishq
sau duaon ka mustaqil ehsas
bandagi ke sawab jaisa ishq
aab-e-zam-zam hai is ko pi lije
hai muqaddas sharab jaisa ishq
muKHtasar bahr ki hai meri ghazal
is ghazal ke jawab jaisa ishq
kisi mashuq ke badan ki mahak
ek taza gulab jaisa ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.