ek qadam bhi baDha nahin sakta
ik qadam bhī baḌhā nahīñ saktā
mat pukāro maiñ aa nahīñ saktā
choT do baar khā nahīñ saktā
dil kisī se lagā nahīñ saktā
chand maḳhsūs raag haiñ dil ke
har koī jin ko gā nahīñ saktā
terī tasvīr ḳhvāb jaisī hai
dekh saktā huuñ pā nahīñ saktā
un kī mahfil meñ kuchh diye rakh do
dil hamesha jalā nahīñ saktā
maiñ na farhād huuñ na majnūñ huuñ
maiñ mohabbat nibhā nahīñ saktā
maiñ bhī dil meñ dimāġh rakhtā huuñ
tū mujhe aazmā nahīñ saktā
dil kī bāteñ to raaz haiñ 'sāhil'
ye na pūchho batā nahīñ saktā
ek qadam bhi baDha nahin sakta
mat pukaro main aa nahin sakta
choT do bar kha nahin sakta
dil kisi se laga nahin sakta
chand maKHsus rag hain dil ke
har koi jin ko ga nahin sakta
teri taswir KHwab jaisi hai
dekh sakta hun pa nahin sakta
un ki mahfil mein kuchh diye rakh do
dil hamesha jala nahin sakta
main na farhad hun na majnun hun
main mohabbat nibha nahin sakta
main bhi dil mein dimagh rakhta hun
tu mujhe aazma nahin sakta
dil ki baaten to raaz hain 'sahil'
ye na puchho bata nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.