ek qadam bhi wo mere sath na chal kar aae
ik qadam bhī vo mire saath na chal kar aa.e
dostī par jise shak baal barābar aa.e
us ke ghar jaa.eñ ki jo dastak-e-dar sunte hī
gungunātā huā hañstā huā bāhar aa.e
apne mālik se maiñ bas ek du'ā māñgtā huuñ
jo ghaḌī aa.e mire haq meñ vo behtar aa.e
aap ke saare hī ilzām sar āñkhoñ pe mirī
dil dukhāne kā na ilzām mire sar aa.e
tū ne kahnā nahīñ maanā hai hamārā lekin
zindagī ham tire kahne meñ barābar aa.e
us musāfir ke qadam chūme hai manzil ai 'hosh'
dūsroñ ke liye jo raah banā kar aa.e
ek qadam bhi wo mere sath na chal kar aae
dosti par jise shak baal barabar aae
us ke ghar jaen ki jo dastak-e-dar sunte hi
gungunata hua hansta hua bahar aae
apne malik se main bas ek du'a mangta hun
jo ghaDi aae mere haq mein wo behtar aae
aap ke sare hi ilzam sar aankhon pe meri
dil dukhane ka na ilzam mere sar aae
tu ne kahna nahin mana hai hamara lekin
zindagi hum tere kahne mein barabar aae
us musafir ke qadam chume hai manzil ai 'hosh'
dusron ke liye jo rah bana kar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.