ek qadam sahra ki jaanib ek qadam ghar ki taraf
ik qadam sahrā kī jānib ik qadam ghar kī taraf
aañkh ruktī hī nahīñ hai ek manzar kī taraf
terī āñkhoñ par hazāroñ she'r jis ne kah diye
ik zarā chashm-e-‘ināyat us suḳhanvar kī taraf
be-ḳhayālī meñ kahāñ terī galī meñ aa gayā
maiñ zarūrī kaam se niklā thā daftar kī taraf
jaane kitne dasht-o-sahrā ho ga.e mujh se ḳhafā
maiñ zarā sī der kyā aaya samundar kī taraf
ek qadam sahra ki jaanib ek qadam ghar ki taraf
aankh rukti hi nahin hai ek manzar ki taraf
teri aankhon par hazaron she'r jis ne kah diye
ek zara chashm-e-‘inayat us suKHanwar ki taraf
be-KHayali mein kahan teri gali mein aa gaya
main zaruri kaam se nikla tha daftar ki taraf
jaane kitne dasht-o-sahra ho gae mujh se KHafa
main zara si der kya aaya samundar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.