Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek qayamat waqt se pahle bapa hone ko hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

ek qayamat waqt se pahle bapa hone ko hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi

    ik qayāmat vaqt se pahle bapā hone ko hai

    ai ḳhudā.e mehrbāñ ab aur kyā hone ko hai

    mausam-e-gul meñ ḳhizāñ sāya-fagan hai kis liye

    darpai āzār kyā bād-e-sabā hone ko hai

    jism-o-jāñ meñ qurbatoñ intihā ho jaa.e gar

    jaan leñ phir dūriyoñ ibtidā hone ko hai

    chhoḌ maiñ ne matā-e-ḳhvāb duniyā ke liye

    hashr ik taqsīm par us bapā hone ko hai

    dil dhaḌaktā hai yūñhī andesha-e-fardā hai kyuuñ

    aisā lagtā hai ki koī hādisa hone ko hai

    jal chukā merā nasheman dekhnā ye hai ki ab

    aag phailegī kahāñ par aur kyā hone ko hai

    chāñd-tāroñ safar 'rāhī' kareñge ek din

    kā.enāt-e-be-karāñ ab zer-e-pā hone ko hai

    ek qayamat waqt se pahle bapa hone ko hai

    ai KHudae mehrban ab aur kya hone ko hai

    mausam-e-gul mein KHizan saya-fagan hai kis liye

    darpai aazar kya baad-e-saba hone ko hai

    jism-o-jaan mein qurbaton ki intiha ho jae gar

    jaan len phir duriyon ki ibtida hone ko hai

    chhoD di main ne mata-e-KHwab duniya ke liye

    hashr ek taqsim par us ki bapa hone ko hai

    dil dhaDakta hai yunhi andesha-e-farda hai kyun

    aisa lagta hai ki koi hadisa hone ko hai

    jal chuka mera nasheman dekhna ye hai ki ab

    aag phailegi kahan par aur kya hone ko hai

    chand-taron ka safar 'rahi' karenge ek din

    kaenat-e-be-karan ab zer-e-pa hone ko hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now