ek raaz khula hum pe ye paidaish-e-gul se
ek raaz khula hum pe ye paidaish-e-gul se
Faizan Jaffery Al-Khwarzami
MORE BYFaizan Jaffery Al-Khwarzami
ik raaz khulā ham pe ye paidā.ish-e-gul se
dil banñe ko thā dasht sā gunjā.ish-e-gul se
hotā hai jinheñ naaz bahut apne junūñ par
jal jaate haiñ aksar vahī garmā.ish-e-gul se
zulfoñ ko sameTe yā ki chehre ko sañvāre
miltī nahīñ fursat use ārā.ish-e-gul se
ye āb-o-havā rang-e-falak mausam-o-shabnam
bharpūr hue jaate haiñ paimā.ish-e-gul se
anjām pe rishta yahī TūTegā ulajh kar
āġhāz hai jis kā abhī farmā.ish-e-gul se
shā'ir haiñ hameñ apnā banā kar bhī to dekho
jī uThte haiñ ham dastak-e-āsā.ish-e-gul se
ek raaz khula hum pe ye paidaish-e-gul se
dil banne ko tha dasht sa gunjaish-e-gul se
hota hai jinhen naz bahut apne junun par
jal jate hain aksar wahi garmaish-e-gul se
zulfon ko sameTe ya ki chehre ko sanware
milti nahin fursat use aaraish-e-gul se
ye aab-o-hawa rang-e-falak mausam-o-shabnam
bharpur hue jate hain paimaish-e-gul se
anjam pe rishta yahi TuTega ulajh kar
aaghaz hai jis ka abhi farmaish-e-gul se
sha'ir hain hamein apna bana kar bhi to dekho
ji uThte hain hum dastak-e-asaish-e-gul se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.