ek riwayat hai jo tabdil nahin kar sakta
ik rivāyat hai jo tabdīl nahīñ kar saktā
maiñ tire hukm kī ta.amīl nahīñ kar saktā
reg-e-maqtal hai na talvār na neza hai yahāñ
tū mire shauq kī takmīl nahīñ kar saktā
raat guzrī to ye uqda bhī khulā hai mujh par
maiñ tujhe sher meñ tamsīl nahīñ kar saktā
tujh pe guzrī ho qayāmat to samajh bhī aa.e
tū mire hijr kī tāvīl nahīñ kar saktā
laakh 'āsim' vo mirī zaat ke TukḌe kar de
maiñ kisī shaḳhs kī tazlīl nahīñ kar saktā
ek riwayat hai jo tabdil nahin kar sakta
main tere hukm ki tamil nahin kar sakta
reg-e-maqtal hai na talwar na neza hai yahan
tu mere shauq ki takmil nahin kar sakta
raat guzri to ye uqda bhi khula hai mujh par
main tujhe sher mein tamsil nahin kar sakta
tujh pe guzri ho qayamat to samajh bhi aae
tu mere hijr ki tawil nahin kar sakta
lakh 'asim' wo meri zat ke TukDe kar de
main kisi shaKHs ki tazlil nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.