ek roz dekh kar wo mujhe muskura diye
ik roz dekh kar vo mujhe muskurā diye
yāroñ ne itnī baat ke qisse sunā diye
chhappar uḌā ke le ga.ī ghar kā havā-e-tund
logoñ ne kuchh sutūn the vo bhī girā diye
pahle bulā ke ghar meñ kisī ne ba-sad-ḳhulūs
phir har nigāh par mirī pahre biThā diye
merā hī māl-o-zar sabhī apnoñ meñ baañT kar
ab kah rahe haiñ vo ki ḳhazāne luTā diye
tum ko mire vatan kī havāo salām hai
maiñ ne ravish ravish pe na.e gul khilā diye
ab bhī hamāre ghar meñ añdherā hai chār-sū
go ham ne apne azm ke sūraj ugā diye
ab tak na saaf aa.ī nazar koī shai 'kamal'
ghar meñ bujhe charāġh bhī ham ne jalā diye
ek roz dekh kar wo mujhe muskura diye
yaron ne itni baat ke qisse suna diye
chhappar uDa ke le gai ghar ka hawa-e-tund
logon ne kuchh sutun the wo bhi gira diye
pahle bula ke ghar mein kisi ne ba-sad-KHulus
phir har nigah par meri pahre biTha diye
mera hi mal-o-zar sabhi apnon mein banT kar
ab kah rahe hain wo ki KHazane luTa diye
tum ko mere watan ki hawao salam hai
main ne rawish rawish pe nae gul khila diye
ab bhi hamare ghar mein andhera hai chaar-su
go hum ne apne azm ke suraj uga diye
ab tak na saf aai nazar koi shai 'kamal'
ghar mein bujhe charagh bhi hum ne jala diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.