ek sans ki maddham lau to yahi ek pal to yahi ek chhin to yahi
ek sans ki maddham lau to yahi ek pal to yahi ek chhin to yahi
Majeed Amjad
MORE BYMajeed Amjad
ik saañs kī maddham lau to yahī ik pal to yahī ik chhin to yahī
taj do ki barat lo dil to yahī chun lo ki gañvā do din to yahī
larzāñ hai lahū kī ḳhalījoñ meñ pechāñ hai badan kī nasījoñ meñ
ik bujhte hue sho.ale kā safar kuchh din ho agar kuchh din to yahī
bal khaa.e dikhe nazroñ se rise sāñsoñ meñ bahe sochoñ meñ jale
bujhte hue is sho.ale ke jatan hai kuchh bhī agar kuchh din to yahī
maiñ zehn pe apne gahrī shikan maiñ sidq meñ apne bhaTkā huā
in bandhanoñ meñ ik añgḌā.ī manzil hai jo koī kaThin to yahī
is Dhab se ji.eñ sīnoñ ke sharar jhoñkoñ meñ ghuleñ qadroñ meñ tuleñ
kāvish hai koī mushkil to yahī koshish hai koī mumkin to yahī
phir barf girī ik guzrī huī pat-jhaḌ kī bahāreñ yaad aa.iiñ
is rut kī nachant havāoñ meñ haiñ kuchh Tīseñ itnī dukhan to yahī
ek sans ki maddham lau to yahi ek pal to yahi ek chhin to yahi
taj do ki barat lo dil to yahi chun lo ki ganwa do din to yahi
larzan hai lahu ki KHalijon mein pechan hai badan ki nasijon mein
ek bujhte hue shoale ka safar kuchh din ho agar kuchh din to yahi
bal khae dikhe nazron se rise sanson mein bahe sochon mein jale
bujhte hue is shoale ke jatan hai kuchh bhi agar kuchh din to yahi
main zehn pe apne gahri shikan main sidq mein apne bhaTka hua
in bandhanon mein ek angDai manzil hai jo koi kaThin to yahi
is Dhab se jien sinon ke sharar jhonkon mein ghulen qadron mein tulen
kawish hai koi mushkil to yahi koshish hai koi mumkin to yahi
phir barf giri ek guzri hui pat-jhaD ki bahaaren yaad aain
is rut ki nachant hawaon mein hain kuchh Tisen itni dukhan to yahi
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 664)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.