ek saya sa hai sath magar aashna nahin
ik saaya sā hai saath magar āshnā nahīñ
maiñ us ko aur vo mujhe pahchāntā nahīñ
ik vāqi.a hai ye ki vo dil meñ hai jāguzīñ
ik hādisa hai ye maiñ use jāntā nahīñ
ye aur baat hai ki zamāna hai mo'tarif
maiñ ḳhud to apne aap ko bhī māntā nahīñ
koī Thikāna merā na merī koī zamīñ
huuñ maiñ bhī lā-makāñ pe koī māntā nahīñ
vo zaḳhm zaḳhm kab hai jo ho jaa.e mundamil
vo dard dard hī nahīñ jo der-pā nahīñ
maanā ki us ke chāhne vaale nahīñ haiñ kam
merī tarah to koī use chāhtā nahīñ
da.avā vafā kā yuuñ to hai har shaḳhs ko 'zuhair'
ye vāqi.a hai koī bhī ahl-e-vafā nahīñ
ek saya sa hai sath magar aashna nahin
main us ko aur wo mujhe pahchanta nahin
ek waqia hai ye ki wo dil mein hai jaguzin
ek hadisa hai ye main use jaanta nahin
ye aur baat hai ki zamana hai mo'tarif
main KHud to apne aap ko bhi manta nahin
koi Thikana mera na meri koi zamin
hun main bhi la-makan pe koi manta nahin
wo zaKHm zaKHm kab hai jo ho jae mundamil
wo dard dard hi nahin jo der-pa nahin
mana ki us ke chahne wale nahin hain kam
meri tarah to koi use chahta nahin
dawa wafa ka yun to hai har shaKHs ko 'zuhair'
ye waqia hai koi bhi ahl-e-wafa nahin
- Book : Dariche (Pg. 46)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.