ek safar hota raha aur ruk gai main
ik safar hotā rahā aur ruk ga.ī maiñ
chal rahā thā rāsta aur ruk ga.ī maiñ
ishq thā donoñ ko fitrat muḳhtalif thī
vo bhaTaktā hī rahā aur ruk ga.ī maiñ
har dafa āvāz sun kar maiñ palaT dī
phir na jaane kyā huā aur ruk ga.ī maiñ
yaad ke lamhe meñ ik arsa bitāyā
vaqt āñkhoñ se bahā aur ruk ga.ī maiñ
lams kā kaisā asar sāñsoñ pe hogā
khel meñ us ne chhuā aur ruk ga.ī maiñ
is qadar āñkhoñ se us ko pī liyā thā
mujh meñ vo bahtā rahā aur ruk ga.ī maiñ
jā rahī thī chhoḌ kar kirdār apnā
naam aayā aap kā aur ruk ga.ī maiñ
ek safar hota raha aur ruk gai main
chal raha tha rasta aur ruk gai main
ishq tha donon ko fitrat muKHtalif thi
wo bhaTakta hi raha aur ruk gai main
har dafa aawaz sun kar main palaT di
phir na jaane kya hua aur ruk gai main
yaad ke lamhe mein ek arsa bitaya
waqt aankhon se baha aur ruk gai main
lams ka kaisa asar sanson pe hoga
khel mein us ne chhua aur ruk gai main
is qadar aankhon se us ko pi liya tha
mujh mein wo bahta raha aur ruk gai main
ja rahi thi chhoD kar kirdar apna
nam aaya aap ka aur ruk gai main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.