ek sahra mein jaane kitne log hamare chhuT gae
ik sahrā meñ jaane kitne log hamāre chhūT ga.e
tab se aisā lagtā hai ki saare sahāre chhūT ga.e
kis dukh par ham Tuut ke ro.eñ kaun sā qissa batlā.eñ
aap faqat bas itnā jāneñ jaan se pyāre chhūT ga.e
in zaḳhmoñ kā marham le kar chaar masīhā aa.e the
is vahshat kī tārīkī meñ sab bechāre chhūT ga.e
hijrat vaalī raat balā kā dard sameTe hotī hai
un se jā kar pūchho jin ke rāj-dulāre chhūT ga.e
ik sāhir se rozāna maiñ is zid pe aḌ jaatā huuñ
vo nāTak dikhlāo jis meñ chāñd sitāre chhūT ga.e
kuchh saudāgar roz hamāre dard kā gāhak bante the
is chakkar meñ jaane kitne hausla haare chhūT ga.e
rafta-rafta 'āsif' ke sab yaar bichhaḌte jaate haiñ
pichhle shab kī ḳhvāb meñ bhī kuchh dard ke maare chhūT ga.e
ek sahra mein jaane kitne log hamare chhuT gae
tab se aisa lagta hai ki sare sahaare chhuT gae
kis dukh par hum Tut ke roen kaun sa qissa batlaen
aap faqat bas itna jaanen jaan se pyare chhuT gae
in zaKHmon ka marham le kar chaar masiha aae the
is wahshat ki tariki mein sab bechaare chhuT gae
hijrat wali raat bala ka dard sameTe hoti hai
un se ja kar puchho jin ke raj-dulare chhuT gae
ek sahir se rozana main is zid pe aD jata hun
wo naTak dikhlao jis mein chand sitare chhuT gae
kuchh saudagar roz hamare dard ka gahak bante the
is chakkar mein jaane kitne hausla haare chhuT gae
rafta-rafta 'asif' ke sab yar bichhaDte jate hain
pichhle shab ki KHwab mein bhi kuchh dard ke mare chhuT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.