ek sahra tha bas pani kahin tha na hawa thi
ik sahrā thā bas paanī kahīñ thā na havā thī
bin tere hayāt apnī baḌī saḳht sazā thī
ye sham'-e-mohabbat to kabhī bujhtī nahīñ hai
maiñ soch rahā huuñ ki kahāñ merī ḳhatā thī
aisā nahīñ duniyā thī hamesha hī se aisī
vo daur bhī thā jis meñ mohabbat thī vafā thī
dī vaqt ne dastak to mire dar pe ka.ī baar
dar jis ne na kholā vo mirī apnī anā thī
āsān na thā yuuñ rah-e-hastī se guzarnā
kyā jāniye kis kis kī mire saath du'ā thī
ham jis ko samajh baiThe the ai dost taġhāful
sunte haiñ ki us shoḳh kī vo ḳhaas adā thī
yūñhī nahīñ allāh pe laa.e haiñ yaqīñ log
insān ke hāthoñ meñ fanā thī na baqā thī
varna to ye mumkin hī nahīñ thā kabhī 'gulshan'
lagtā hai tabāhī meñ mirī un kī razā thī
ek sahra tha bas pani kahin tha na hawa thi
bin tere hayat apni baDi saKHt saza thi
ye sham'-e-mohabbat to kabhi bujhti nahin hai
main soch raha hun ki kahan meri KHata thi
aisa nahin duniya thi hamesha hi se aisi
wo daur bhi tha jis mein mohabbat thi wafa thi
di waqt ne dastak to mere dar pe kai bar
dar jis ne na khola wo meri apni ana thi
aasan na tha yun rah-e-hasti se guzarna
kya jaaniye kis kis ki mere sath du'a thi
hum jis ko samajh baiThe the ai dost taghaful
sunte hain ki us shoKH ki wo KHas ada thi
yunhi nahin allah pe lae hain yaqin log
insan ke hathon mein fana thi na baqa thi
warna to ye mumkin hi nahin tha kabhi 'gulshan'
lagta hai tabahi mein meri un ki raza thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.